Hello Genius .. hm aa gye h ek aur intresting chemistry lesson k sath ... hm sabhi ne atom me radius k bare me padha hua h jaise ki atomic radius , van der wall radius ya .. agr ye sabhi radius hi h to kaise ye ek dusre se different h aur hm inhe kaise measure krrege is lesson me hm yahi pata lagyege so chaliye start krte h atomic radius se jab bhi hm atomic radius ki baat krte h to hmmare brain me ek aisi image ban jaati h....jo ki puri tarah sahi nhi h iske sath problem ye h ki hm kisi group of atom se ek atom ko alag nikal kr uski radius ko measure nhi kr sakte h iske kai reason h 1. atom ka size bahut small hota h so inko seprate krna thoda muskil kaam h agr app ye kaam kr bhi lete h to dusri problem ye aati h ki aab hme neuclus se outer sell k electon ki distance ko pata krna h jo ki hamari atomic radius hogi lekin hme na to electon ki position pata h aur na hi uske outer shell ki well denifed boundry kyuki kisi e- ka kisi point pr milna uski probabitiy pr depend krta h tesra reson ye hai ki atom ko uske group se alag kr lene pr uspr koi bhi aatraction ya repulsion force nhi lagega jo ki uski group me present hone pr lagta so hamri atomic radius actucl value se km ya jayda hogi abb question ye hai ki hm ise measure kaise krte h ise ek exapmle se samjte h hm ek hydrogen molecule lete h jo ki aaps me sinlge bond banate h aur unki intemolecular distance measure krte h jo ki iss case me 74 picometer h ab atomic radius k liye hme intermolecular distance ko 2 se devide krna hoga jo is case me h 37 picometre aus iss atomic radius ko hm mettalic radius ya covalent radius bhi kahte h aur isko measure krne k liye x ray diffraction aur spectroscopic technique ka use hota h jisko hm kisi aur lesson me janege --------------------------------------------------------------------------------------------------------- Watch To Learn More ---------------------------------------------------------------------------------------------------------- THANK YOU FOR WATCHING -------------------------------------------------------------------------------------------------------- BE CURIOUS BE GENIUS
Comments (0)